KHak ho jaana hai ek din kise inkar kabhi
ḳhaak ho jaanā hai ik din kise inkār kabhī
zindagī phir bhī nahīñ mūjib-e-āzār kabhī
vaqt kī qaid se hai māvarā fan kī duniyā
mujh ko marne nahīñ deñge mire ash.ār kabhī
chain se jiine kī taufīq jise mil jaa.e
kab vo paḌhtā hai miyāñ bhūle se aḳhbār kabhī
ab to bas uḌtī haiñ a.amāl-e-ḳhirad kī chīleñ
ab kisī sar pe laTaktī nahīñ talvār kabhī
justujū-kesh junūñ ke liye ai shaiḳh-e-haram
chāhtā kyā hai ḳhudā kab hai ye asrār kabhī
do alag chīzeñ haiñ ta.amīr ki taqsīm 'āsim'
ek sī uThtī nahīñ donoñ kī dīvār kabhī
KHak ho jaana hai ek din kise inkar kabhi
zindagi phir bhi nahin mujib-e-azar kabhi
waqt ki qaid se hai mawara fan ki duniya
mujh ko marne nahin denge mere ashaar kabhi
chain se jine ki taufiq jise mil jae
kab wo paDhta hai miyan bhule se aKHbar kabhi
ab to bas uDti hain aamal-e-KHirad ki chilen
ab kisi sar pe laTakti nahin talwar kabhi
justuju-kesh junun ke liye ai shaiKH-e-haram
chahta kya hai KHuda kab hai ye asrar kabhi
do alag chizen hain tamir ki taqsim 'asim'
ek si uThti nahin donon ki diwar kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.