KHak ho kar bhi kab miTunga main
ḳhaak ho kar bhī kab miTūñgā maiñ
phuul ban kar yahīñ khilūñgā maiñ
tujh ko āvāz bhī maiñ kyuuñ dūñgā
terā rasta bhī kyuuñ takūñgā maiñ
ik purāne se zaḳhm par ab ke
koī marham nayā rakhūñgā maiñ
gher leñgī ye titliyāñ mujh ko
ḳhushbueñ jiyūñ rihā karūñgā maiñ
ḳhud se bāhar to kam nikaltā huuñ
jī meñ aayā to phir milūñgā maiñ
varna jiinā muhāl kar degā
dard ko ab ġhazal karūñgā maiñ
dhukdhukī sī lagī hai kyuuñ jī ko
itnī jaldī kahāñ marūñgā maiñ
sāñseñ detī rahīñ jo chingārī
ek jangal sā jal uThūñgā maiñ
thak gayā huuñ maiñ is jazīre par
phir samundar kā ruḳh karūñgā maiñ
ruuh kā ye libās badlūñgā
bhes duujā koī dharūñgā maiñ
KHak ho kar bhi kab miTunga main
phul ban kar yahin khilunga main
tujh ko aawaz bhi main kyun dunga
tera rasta bhi kyun takunga main
ek purane se zaKHm par ab ke
koi marham naya rakhunga main
gher lengi ye titliyan mujh ko
KHushbuen jiyun riha karunga main
KHud se bahar to kam nikalta hun
ji mein aaya to phir milunga main
warna jina muhaal kar dega
dard ko ab ghazal karunga main
dhukdhuki si lagi hai kyun ji ko
itni jaldi kahan marunga main
sansen deti rahin jo chingari
ek jangal sa jal uThunga main
thak gaya hun main is jazire par
phir samundar ka ruKH karunga main
ruh ka ye libas badlunga
bhes duja koi dharunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.