KHak mein lipTi kahani aur hai
Interesting Fact
(Dedicated to Ghalib) 'Kitaab-Numa' (January 2001)
ḳhaak meñ lipTī kahānī aur hai
rañg lekin āsmānī aur hai
kal talak vo bāñTtī ḳhushbū rahī
ab havā kī chheḌ-ḳhāni aur hai
dhuup ke sahrā meñ chal kar dekhnā
ābloñ kī shādmānī aur hai
chīñtiyoñ se phir mirā vā'da huā
ek koshish āzmānī aur hai
raat ke ghar meñ baḌā kohrām thā
sub.h kī ab be-zabānī aur hai
titliyoñ ko thī sabā kī justujū
gulsitāñ meñ hukmrānī aur hai
koñpleñ izn-e-safar kī muntazir
zard pattoñ meñ kahānī aur hai
mehrbāñ phūloñ pe lagtī thī havā
bahte paanī kī ravānī aur hai
haañ nadāmat tujh ko honī chāhiye
haif 'ja.afar' paanī paanī aur hai
KHak mein lipTi kahani aur hai
rang lekin aasmani aur hai
kal talak wo banTti KHushbu rahi
ab hawa ki chheD-KHani aur hai
dhup ke sahra mein chal kar dekhna
aablon ki shadmani aur hai
chintiyon se phir mera wa'da hua
ek koshish aazmani aur hai
raat ke ghar mein baDa kohram tha
subh ki ab be-zabani aur hai
titliyon ko thi saba ki justuju
gulsitan mein hukmrani aur hai
konplen izn-e-safar ki muntazir
zard patton mein kahani aur hai
mehrban phulon pe lagti thi hawa
bahte pani ki rawani aur hai
han nadamat tujh ko honi chahiye
haif 'jafar' pani pani aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.