KHak mein milti hain kaise bastiyan malum ho
ḳhaak meñ miltī haiñ kaise bastiyāñ mālūm ho
aane vāloñ ko hamārī dāstāñ mālūm ho
jo idhar kā ab nahīñ hai vo kidhar kā ho gayā
jo yahāñ mādūm ho jaa.e kahāñ mālūm ho
marhala tasḳhīr karne kā ise āsān hai
gar tujhe apnā badan saarā jahāñ mālūm ho
jo alag ho kar chale sab ghūmte haiñ us ke gird
yuuñ judā ho kar guzar ki darmiyāñ mālūm ho
kitnī majbūrī hai lā-mahdūd aur mahdūd kī
be-karāñ jab ho sakeñ tab be-karāñ mālūm ho
ek dam ho raushnī to kyā nazar aa.e 'malāl'
kyā samajh pā.ūñ jo sab kuchh nā-gahāñ mālūm ho
KHak mein milti hain kaise bastiyan malum ho
aane walon ko hamari dastan malum ho
jo idhar ka ab nahin hai wo kidhar ka ho gaya
jo yahan madum ho jae kahan malum ho
marhala tasKHir karne ka ise aasan hai
gar tujhe apna badan sara jahan malum ho
jo alag ho kar chale sab ghumte hain us ke gird
yun juda ho kar guzar ki darmiyan malum ho
kitni majburi hai la-mahdud aur mahdud ki
be-karan jab ho saken tab be-karan malum ho
ek dam ho raushni to kya nazar aae 'malal'
kya samajh paun jo sab kuchh na-gahan malum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.