KHak par nind mayassar bhi to ho sakti hai
ḳhaak par niiñd mayassar bhī to ho saktī hai
vahshat-e-dasht mire saath meñ so saktī hai
āshnā hai vo mirī miTTī kī zarḳhezī se
vo mire jism pe ab zaḳhm bhī bo saktī hai
thaam le haath mirā mujh se kināra mat kar
varna is baar tū sach-much mujhe kho saktī hai
de nahīñ sakte dilāsa dar-o-dīvār tujhe
dekh tū mujh se lipaT kar bhī to ro saktī hai
ashk hī aañkh se Tapkeñ ye zarūrī to nahīñ
os bhī to mire dāman ko bhigo saktī hai
zindagī tujh ko to aatī hai kashīdakārī
kyā mire sar ko bhī neze meñ piro saktī hai
fikr būḌhī to bahut hai mirī lekin ab bhī
bojh alfāz kā āsānī se Dho saktī hai
KHak par nind mayassar bhi to ho sakti hai
wahshat-e-dasht mere sath mein so sakti hai
aashna hai wo meri miTTi ki zarKHezi se
wo mere jism pe ab zaKHm bhi bo sakti hai
tham le hath mera mujh se kinara mat kar
warna is bar tu sach-much mujhe kho sakti hai
de nahin sakte dilasa dar-o-diwar tujhe
dekh tu mujh se lipaT kar bhi to ro sakti hai
ashk hi aankh se Tapken ye zaruri to nahin
os bhi to mere daman ko bhigo sakti hai
zindagi tujh ko to aati hai kashidakari
kya mere sar ko bhi neze mein piro sakti hai
fikr buDhi to bahut hai meri lekin ab bhi
bojh alfaz ka aasani se Dho sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.