KHak-ta-KHak wo pahchan na paya hai mujhe
ḳhāk-tā-ḳhāk vo pahchān na paayā hai mujhe
us ne har baar havāoñ meñ uḌāyā hai mujhe
chāhtā huuñ ki mujhe toḌ de ab us kā sukūt
jis kī āvāz ne ā.īna banāyā hai mujhe
ab girah meñ nahīñ khone ke liye kuchh baaqī
zindagī tū ne bhī kis moḌ pe paayā hai mujhe
maiñ tirī raah kī dīvār nahīñ thā ai dost
tū ne kyā jaan ke nazroñ se girāyā hai mujhe
raushnī merī añdheroñ se ulajh saktī thī
merā dukh ye hai ki sūraj ne bujhāyā hai mujhe
ab sañbhalne nahīñ degā kahīñ tanhā.ī kā bojh
chhoḌne vo mirī dahlīz tak aayā hai mujhe
maiñ koī gauhar-e-nāyāb nahīñ huuñ 'rāshid'
kyā samajh ke koī bāzār meñ laayā hai mujhe
KHak-ta-KHak wo pahchan na paya hai mujhe
us ne har bar hawaon mein uDaya hai mujhe
chahta hun ki mujhe toD de ab us ka sukut
jis ki aawaz ne aaina banaya hai mujhe
ab girah mein nahin khone ke liye kuchh baqi
zindagi tu ne bhi kis moD pe paya hai mujhe
main teri rah ki diwar nahin tha ai dost
tu ne kya jaan ke nazron se giraya hai mujhe
raushni meri andheron se ulajh sakti thi
mera dukh ye hai ki suraj ne bujhaya hai mujhe
ab sanbhalne nahin dega kahin tanhai ka bojh
chhoDne wo meri dahliz tak aaya hai mujhe
main koi gauhar-e-nayab nahin hun 'rashid'
kya samajh ke koi bazar mein laya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.