KHak thi KHak-dan mein kya tha
ḳhaak thī ḳhāk-dān meñ kyā thā
ham se pahle jahān meñ kyā thā
jaañ hathelī pe thī patañgoñ kī
jaane is sham.a-dān meñ kyā thā
ab to aaseb hai mire ghar meñ
qabl is ke makān meñ kyā thā
khīñchtā thā vo naqsh-e-pā ham ko
naqsh kyā thā nishān meñ kyā thā
devtā kah rahe the log jise
vo hamārī zabān meñ kyā thā
umr bhar mil sake na ham donoñ
vasvasa darmiyān meñ kyā thā
kaisā niklā hai ai 'fidā' tū bhī
aur hamāre gumān meñ kyā thā
KHak thi KHak-dan mein kya tha
hum se pahle jahan mein kya tha
jaan hatheli pe thi patangon ki
jaane is shama-dan mein kya tha
ab to aaseb hai mere ghar mein
qabl is ke makan mein kya tha
khinchta tha wo naqsh-e-pa hum ko
naqsh kya tha nishan mein kya tha
dewta kah rahe the log jise
wo hamari zaban mein kya tha
umr bhar mil sake na hum donon
waswasa darmiyan mein kya tha
kaisa nikla hai ai 'fida' tu bhi
aur hamare guman mein kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.