KHak uDti rahi jalte hue parwanon ki
ḳhaak uḌtī rahī jalte hue parvānoñ kī
sham.a ne qadr na kī soḳhta-sāmānoñ kī
is qadar bhiiḌ hai is daur meñ dīvānoñ kī
vus.ateñ kam huī jaatī haiñ bayābānoñ kī
phuul gulshan meñ bhalā ḳhaak khilā.egī bahār
dhajjiyāñ us ko mileñgī jo garebānoñ kī
manzil-e-dār se aage bhī ga.e haiñ aksar
himmateñ tum ne baḌhā.ī haiñ jo dīvānoñ kī
mehr-o-māh ġhuncha-o-gul bhī haiñ bahut ḳhuub magar
un se rangīn hai surḳhī mire afsānoñ kī
dast-e-taḳhrīb se ta.amīr kā miltā hai pata
naaz kartī hai ḳhirad aql pe dīvānoñ kī
jur.ateñ ḳhuub baḌhā.ī haiñ safīne vaalo
nā-ḳhudāoñ ne ubharte hue tūfānoñ kī
ham tak ai dast-e-junūñ izn-e-bahār aa.e to
ḳhair dāman kī rahegī na garebānoñ kī
jab mo.arriḳh koī tārīḳh-e-chaman likkhegā
dāstāñ barq kahegī mire afsānoñ kī
azmat-e-ka.aba samajhtā hai zamāna jis ko
ek rangīn sī tasvīr hai but-ḳhānoñ kī
ai 'vakīl' ubhregā jab zauq-e-rihā.ī kā junūñ
baat rah jā.egī zindāñ meñ nigahbānoñ kī
KHak uDti rahi jalte hue parwanon ki
shama ne qadr na ki soKHta-samanon ki
is qadar bhiD hai is daur mein diwanon ki
wusaten kam hui jati hain bayabanon ki
phul gulshan mein bhala KHak khilaegi bahaar
dhajjiyan us ko milengi jo garebanon ki
manzil-e-dar se aage bhi gae hain aksar
himmaten tum ne baDhai hain jo diwanon ki
mehr-o-mah ghuncha-o-gul bhi hain bahut KHub magar
un se rangin hai surKHi mere afsanon ki
dast-e-taKHrib se tamir ka milta hai pata
naz karti hai KHirad aql pe diwanon ki
juraten KHub baDhai hain safine walo
na-KHudaon ne ubharte hue tufanon ki
hum tak ai dast-e-junun izn-e-bahaar aae to
KHair daman ki rahegi na garebanon ki
jab moarriKH koi tariKH-e-chaman likkhega
dastan barq kahegi mere afsanon ki
azmat-e-kaba samajhta hai zamana jis ko
ek rangin si taswir hai but-KHanon ki
ai 'wakil' ubhrega jab zauq-e-rihai ka junun
baat rah jaegi zindan mein nigahbanon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.