Khaali hai talab-garon se bazar-e-tamanna
ḳhālī hai talab-gāroñ se bāzār-e-tamannā
aatā hī nahīñ koī ḳharīdār-e-tamannā
har chand ki rahtā hai vo bezār-e-tamannā
dāman meñ sameTe hai magar ḳhār-e-tamannā
sab apnī ḳhamoshī kā lahū chaaT rahe haiñ
kartā hī nahīñ ab koī iz.hār-e-tamannā
is qasr-e-havas se koī bāhar nahīñ aatā
kahne ko to har shaḳhs hai bezār-e-tamannā
paivand-e-zamīñ kar na sakā sail-e-balā bhī
hai sar-ba-falak aaj bhī dīvār-e-tamannā
koī bhī nahīñ kam hai kisī se yahāñ 'aḳhtar'
har shaḳhs hai is shahr meñ shahkār-e-tamannā
KHali hai talab-garon se bazar-e-tamanna
aata hi nahin koi KHaridar-e-tamanna
har chand ki rahta hai wo bezar-e-tamanna
daman mein sameTe hai magar KHar-e-tamanna
sab apni KHamoshi ka lahu chaT rahe hain
karta hi nahin ab koi izhaar-e-tamanna
is qasr-e-hawas se koi bahar nahin aata
kahne ko to har shaKHs hai bezar-e-tamanna
paiwand-e-zamin kar na saka sail-e-bala bhi
hai sar-ba-falak aaj bhi diwar-e-tamanna
koi bhi nahin kam hai kisi se yahan 'aKHtar'
har shaKHs hai is shahr mein shahkar-e-tamanna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.