Khaali Khaali makan ke manzar dekh
ḳhālī ḳhālī makāñ ke manzar dekh
har taraf phir vahī samundar dekh
toḌ kar ik pahāḌ se rishta
gum huā hai nadī meñ patthar dekh
raat sab ko nikhār detī hai
din meñ tū rang-e-māh-e-aḳhtar dekh
aañkh meñ rakh le raushnī pahle
phir zarā shām-e-ġham kā lashkar dekh
tujh ko manzil bhī mil hī jā.egī
pahle raste kā mīl-patthar dekh
ghar ke bāhar bhī ek āñdhī hai
ek tūfān mere andar dekh
KHali KHali makan ke manzar dekh
har taraf phir wahi samundar dekh
toD kar ek pahaD se rishta
gum hua hai nadi mein patthar dekh
raat sab ko nikhaar deti hai
din mein tu rang-e-mah-e-aKHtar dekh
aankh mein rakh le raushni pahle
phir zara sham-e-gham ka lashkar dekh
tujh ko manzil bhi mil hi jaegi
pahle raste ka mil-patthar dekh
ghar ke bahar bhi ek aandhi hai
ek tufan mere andar dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.