Khaali makan yun to bahut din paDa raha
ḳhālī makān yuuñ to bahut din paḌā rahā
jab tū nahīñ rahā to koī dūsrā rahā
vaise to saare zaḳhm duāoñ ne bhar diye
lekin jo zaḳhm tū ne diyā thā harā rahā
un ko kahāñ ḳhabar thī ki kaT jā.egā shajar
ghar lauTte parindoñ ko ik aasrā rahā
muddat ke baad kal tujhe dekhā thā raah meñ
terī sadā bhī aa.ī to maiñ be-sadā rahā
roke haiñ maiñ ne kitne farishtoñ ke rāste
jab tak mirī galī meñ mirā āshnā rahā
KHali makan yun to bahut din paDa raha
jab tu nahin raha to koi dusra raha
waise to sare zaKHm duaon ne bhar diye
lekin jo zaKHm tu ne diya tha hara raha
un ko kahan KHabar thi ki kaT jaega shajar
ghar lauTte parindon ko ek aasra raha
muddat ke baad kal tujhe dekha tha rah mein
teri sada bhi aai to main be-sada raha
roke hain main ne kitne farishton ke raste
jab tak meri gali mein mera aashna raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.