Khaali nahin hai koi yahan par azab se
ḳhālī nahīñ hai koī yahāñ par azaab se
duniyā se mil ke dekh le apne hisāb se
us din añdherī galiyoñ meñ hogā tulū-e-din
jis roz dhuup chhīnoge tum āftāb se
pī luuñ zarā sī aag taḳhayyul uñDel kar
kuchh dhuup chhānñā hai ġhazal ke naqāb se
ḳhushbū ne terī rañg-e-kasāfat uḌā diyā
rāhat milī havā ko zarā is azaab se
dil toḌne kā khel nahīñ tum pe hī tamām
ham bhī chukā.eñge ye udhārī hisāb se
insāñ se daur-e-nau ne muravvat bhī chhīn lī
bārish ne sar-varaq bhī utārā kitāb se
dil kā shajar harā thā to patjhaḌ kā ġham na thā
ujḌā hai dil to kaun bachā.e azaab se
KHali nahin hai koi yahan par azab se
duniya se mil ke dekh le apne hisab se
us din andheri galiyon mein hoga tulu-e-din
jis roz dhup chhinoge tum aaftab se
pi lun zara si aag taKHayyul unDel kar
kuchh dhup chhanna hai ghazal ke naqab se
KHushbu ne teri rang-e-kasafat uDa diya
rahat mili hawa ko zara is azab se
dil toDne ka khel nahin tum pe hi tamam
hum bhi chukaenge ye udhaari hisab se
insan se daur-e-nau ne murawwat bhi chhin li
barish ne sar-waraq bhi utara kitab se
dil ka shajar hara tha to patjhaD ka gham na tha
ujDa hai dil to kaun bachae azab se
- Book : Lehja-e-Gul (Pg. 58)
- Author : Farooq Anjum
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.