Khaali sine mein dhaDakte hue aawaze se
ḳhālī siine meñ dhaḌakte hue āvāze se
bhar ga.ī umr mirī saañs ke ḳhamiyāze se
muntazir hī na rahā bām-e-tamannā pe koī
aur havā aa ke guzartī rahī darvāze se
shām-e-sad-rañg mire ā.ina-ḳhāne meñ Thahar
maiñ ne tasvīr banānī hai tire ġhāze se
mujh ko aayā hī nahīñ jis kā yaqīñ aaj talak
vo ḳhudā kitnā baḌā hai mire andāze se
aur kuchh haath na aayā to mirī āñkhoñ ne
chun liye ḳhvāb hī bikhre hue shīrāze se
KHali sine mein dhaDakte hue aawaze se
bhar gai umr meri sans ke KHamiyaze se
muntazir hi na raha baam-e-tamanna pe koi
aur hawa aa ke guzarti rahi darwaze se
sham-e-sad-rang mere aaina-KHane mein Thahar
main ne taswir banani hai tere ghaze se
mujh ko aaya hi nahin jis ka yaqin aaj talak
wo KHuda kitna baDa hai mere andaze se
aur kuchh hath na aaya to meri aankhon ne
chun liye KHwab hi bikhre hue shiraaze se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.