Khaali-uz-zehn hue jab se KHalaon ki tarah
ḳhālī-uz-zehn hue jab se ḳhalāoñ kī tarah
ham bhaTakte rahe be-lāg havāoñ kī tarah
ḳhud-kushī jurm hai sangīn ḳhatāoñ kī tarah
zindagī dekh idhar ham meñ ḳhudāoñ kī tarah
kitnā āsān hai ehsās kī talḳhī kā 'ilāj
zahr biktā hai sar-e-ām davāoñ kī tarah
kyā muqaddar hai ki sūraj ke nagar meñ rah kar
chāñd se log haiñ tārīk guphāoñ kī tarah
haa.e is daur kī taqdīr meñ āvāz-e-azāñ
kārgar kyoñ nahīñ meloñ kī sadāoñ kī tarah
us ke jalte hue hoñToñ pe mirā naam 'ājiz'
aaj bhī aatā hai majbūr du'āoñ kī tarah
KHali-uz-zehn hue jab se KHalaon ki tarah
hum bhaTakte rahe be-lag hawaon ki tarah
KHud-kushi jurm hai sangin KHataon ki tarah
zindagi dekh idhar hum mein KHudaon ki tarah
kitna aasan hai ehsas ki talKHi ka 'ilaj
zahr bikta hai sar-e-am dawaon ki tarah
kya muqaddar hai ki suraj ke nagar mein rah kar
chand se log hain tarik guphaon ki tarah
hae is daur ki taqdir mein aawaz-e-azan
kargar kyon nahin melon ki sadaon ki tarah
us ke jalte hue honTon pe mera nam 'ajiz'
aaj bhi aata hai majbur du'aon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.