KHamosh bazahir hai magar bol raha hai
ḳhāmosh bazāhir hai magar bol rahā hai
us husn-e-mujassam kā har andāz nayā hai
ḳhvābīda hai sun kar bhī koī shor-e-qayāmat
aur dil ke dhaḌakne se koī chauñk gayā hai
shāyad mire ḳhvāboñ kī ye tā'bīr banegā
ik taarā bulandī se jo pastī meñ girā hai
aatī nahīñ kyoñ tesha-zanī kī koī āvāz
kyā vaqt kā farhād bhī ab thak sā gayā hai
ġhairoñ se 'adīm' ab koī shikva nahīñ mujh ko
apnoñ ne hī dil ko mire majrūh kiyā hai
KHamosh bazahir hai magar bol raha hai
us husn-e-mujassam ka har andaz naya hai
KHwabida hai sun kar bhi koi shor-e-qayamat
aur dil ke dhaDakne se koi chaunk gaya hai
shayad mere KHwabon ki ye ta'bir banega
ek tara bulandi se jo pasti mein gira hai
aati nahin kyon tesha-zani ki koi aawaz
kya waqt ka farhad bhi ab thak sa gaya hai
ghairon se 'adim' ab koi shikwa nahin mujh ko
apnon ne hi dil ko mere majruh kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.