KHamosh ho gai thi zaban dekhte rahe
KHamosh ho gai thi zaban dekhte rahe
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
ḳhāmosh ho ga.ī thī zabāñ dekhte rahe
har samt aag aur dhuāñ dekhte rahe
dekhā jidhar jidhar mujhe manzar vahī milā
gardan ko zer-e-nok-e-sināñ dekhte rahe
Dhote rahe haiñ lāsha-e-fasl-e-bahār ko
gulshan meñ daur-e-bād-e-ḳhizāñ dekhte rahe
qistoñ meñ toḌtī rahī dam lashkarī zabāñ
ahl-e-qalam sab ahl-e-zabāñ dekhte rahe
mahfūz kab rahe vo zamāne kī chaal se
har moḌ par jo sūd-o-ziyāñ dekhte rahe
pahuñche 'valī' ke shahr meñ ik roz ham 'majīd'
barpā thā hashr āh-o-fuġhāñ dekhte rahe
KHamosh ho gai thi zaban dekhte rahe
har samt aag aur dhuan dekhte rahe
dekha jidhar jidhar mujhe manzar wahi mila
gardan ko zer-e-nok-e-sinan dekhte rahe
Dhote rahe hain lasha-e-fasl-e-bahaar ko
gulshan mein daur-e-baad-e-KHizan dekhte rahe
qiston mein toDti rahi dam lashkari zaban
ahl-e-qalam sab ahl-e-zaban dekhte rahe
mahfuz kab rahe wo zamane ki chaal se
har moD par jo sud-o-ziyan dekhte rahe
pahunche 'wali' ke shahr mein ek roz hum 'majid'
barpa tha hashr aah-o-fughan dekhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.