KHamosh jhil mein koi kankar gira nahin
ḳhāmosh jhiil meñ koī kankar girā nahīñ
lahroñ kā zindagī meñ mirī silsila nahīñ
bādal kī tarah āñkheñ barastī rahīñ magar
shādāb phir bhī barg-e-mohabbat huā nahīñ
makḌī ne us kī āñkhoñ pe jaale lagā diye
muddat se intizār kā uqda khulā nahīñ
raushan huī hayāt kisī ke ḳhayāl se
yuuñ to charāġh ghar meñ hamāre jalā nahīñ
maazī bhī mahv-e-ḳhvāb huā kab kā dosto
mustaqbil-e-qarīb kā bhī dar khulā nahīñ
ye mausam-e-umīd bhī kab kā guzar gayā
'ādil' shajar pe aas kā ik phal lagā nahīñ
KHamosh jhil mein koi kankar gira nahin
lahron ka zindagi mein meri silsila nahin
baadal ki tarah aankhen barasti rahin magar
shadab phir bhi barg-e-mohabbat hua nahin
makDi ne us ki aankhon pe jale laga diye
muddat se intizar ka uqda khula nahin
raushan hui hayat kisi ke KHayal se
yun to charagh ghar mein hamare jala nahin
mazi bhi mahw-e-KHwab hua kab ka dosto
mustaqbil-e-qarib ka bhi dar khula nahin
ye mausam-e-umid bhi kab ka guzar gaya
'adil' shajar pe aas ka ek phal laga nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.