KHamosh kya zara meri talwar ho gai
ḳhāmosh kyā zarā mirī talvār ho ga.ī
vo ye samajh rahā hai mirī haar ho ga.ī
matlab nikāl letī hai talvoñ ko chaaT kar
duniyā balā kī aaj kalā-kār ho ga.ī
samjhā rahī hai mujh ko baḌe hī ḳhulūs se
bholī sī ek laḌkī samajh-dār ho ga.ī
jab aa.egī to ḳhuun ke aañsū rulā.egī
ab to tumhārī yaad bhī hoshiyār ho ga.ī
'tāriq' hameñ jhukānā koī khel to nahīñ
koshish muḳhālifīn kī bekār ho ga.ī
KHamosh kya zara meri talwar ho gai
wo ye samajh raha hai meri haar ho gai
matlab nikal leti hai talwon ko chaT kar
duniya bala ki aaj kala-kar ho gai
samjha rahi hai mujh ko baDe hi KHulus se
bholi si ek laDki samajh-dar ho gai
jab aaegi to KHun ke aansu rulaegi
ab to tumhaari yaad bhi hoshiyar ho gai
'tariq' hamein jhukana koi khel to nahin
koshish muKHalifin ki bekar ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.