KHamoshi kah rahi thi mulaqat ho gai
ḳhāmoshī kah rahī thī mulāqāt ho ga.ī
aañsū batā rahe haiñ koī baat ho ga.ī
zāhir jo bazm meñ mirī auqāt ho ga.ī
rusvā har ik nazar meñ mirī zaat ho ga.ī
jaañ haar ke bhī jiit gayā huuñ kisī kā dil
duniyā samajh rahī hai mirī maat ho ga.ī
ye kaun mujh se milne sar-e-shām aa gayā
lagtā hai jaise din kī shurū’āt ho ga.ī
ik dūsre se duur kuchh aise hue haiñ ham
duniyā se ḳhatm jaise musāvāt ho ga.ī
Daalī thī us ne mujh pe bas ik sarsarī nigāh
mahsūs ye huā ki karāmāt ho ga.ī
kahne ko kuchh nahīñ thā hukūmat ke paas jab
achchhā to ye huā ki ḳhurāfāt ho ga.ī
KHamoshi kah rahi thi mulaqat ho gai
aansu bata rahe hain koi baat ho gai
zahir jo bazm mein meri auqat ho gai
ruswa har ek nazar mein meri zat ho gai
jaan haar ke bhi jit gaya hun kisi ka dil
duniya samajh rahi hai meri mat ho gai
ye kaun mujh se milne sar-e-sham aa gaya
lagta hai jaise din ki shuru’at ho gai
ek dusre se dur kuchh aise hue hain hum
duniya se KHatm jaise musawat ho gai
Dali thi us ne mujh pe bas ek sarsari nigah
mahsus ye hua ki karamat ho gai
kahne ko kuchh nahin tha hukumat ke pas jab
achchha to ye hua ki KHurafat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.