KHamoshiyon ke gahre samundar mein Dub jaen
ḳhāmoshiyoñ ke gahre samundar meñ Duub jaa.eñ
kho jaa.eñ is tarah ki phir apnā pata na paa.eñ
hai maut kā payām kināroñ kī zindagī
ma.asūm machhliyoñ se kaho jaal meñ na aa.eñ
dasht-e-alam meñ barg-e-ḳhizāñ-dīda kī tarah
bas ai hujūm-e-shauq kahīñ ham bikhar na jaa.eñ
vīrāniyāñ ki āñkhoñ meñ sahrā basā huā
majbūri-e-hayāt na aañsū bhī muskurā.eñ
chehre jhulas rahe haiñ havādis kī dhuup meñ
phir bhī alam-nasīb hazāroñ meñ jagmagā.eñ
aisā na ho ki dil kā har ik zaḳhm aañch de
kah dījiye 'shamīm' vo merī ġhazal na gaa.eñ
KHamoshiyon ke gahre samundar mein Dub jaen
kho jaen is tarah ki phir apna pata na paen
hai maut ka payam kinaron ki zindagi
masum machhliyon se kaho jal mein na aaen
dasht-e-alam mein barg-e-KHizan-dida ki tarah
bas ai hujum-e-shauq kahin hum bikhar na jaen
viraniyan ki aankhon mein sahra basa hua
majburi-e-hayat na aansu bhi muskuraen
chehre jhulas rahe hain hawadis ki dhup mein
phir bhi alam-nasib hazaron mein jagmagaen
aisa na ho ki dil ka har ek zaKHm aanch de
kah dijiye 'shamim' wo meri ghazal na gaen
- Nama-e-Gul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.