KHamushi ke batn se ye guftani paida hui
ḳhāmushī ke batn se ye guftanī paidā huī
maiñ ba-zāhir chup huā aur shā.erī paidā huī
is tarah sābit huā ġham aur ḳhushī kā imtizāj
hañste hañste us kī āñkhoñ meñ namī paidā huī
jurm kī pādāsh meñ ham ḳhaak par pheñke ga.e
so yahāñ par intiqāman zindagī paidā huī
ḳhauf ne hī maslahat kī raah bhī ījād kī
maiñ añdheroñ se Darā aur raushnī paidā huī
dil meñ kab utrī kisī ke be-ma.ānī guftugū
baat karne se to bas āvāz hī paidā huī
KHamushi ke batn se ye guftani paida hui
main ba-zahir chup hua aur shaeri paida hui
is tarah sabit hua gham aur KHushi ka imtizaj
hanste hanste us ki aankhon mein nami paida hui
jurm ki padash mein hum KHak par phenke gae
so yahan par intiqaman zindagi paida hui
KHauf ne hi maslahat ki rah bhi ijad ki
main andheron se Dara aur raushni paida hui
dil mein kab utri kisi ke be-maani guftugu
baat karne se to bas aawaz hi paida hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.