Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamushi se rozana daeron mein baT jaana

Ameer Imam

KHamushi se rozana daeron mein baT jaana

Ameer Imam

MORE BYAmeer Imam

    ḳhāmushī se rozāna dā.eroñ meñ baT jaanā

    TūTnā bikhar jaanā aur phir simaT jaanā

    mere saare ḳhvāboñ muḳhtasar ye tā'bīreñ

    din meñ niiñd aanā raat ko uchaT jaanā

    ḳhud se baat karne ko raah roknā apnī

    thoḌī der chup rah kar muskurā ke haT jaanā

    kis tarah tavāzun ho zindagī ke khāte meñ

    sub.h ho to baḌh jaanā shaam ho to ghaT jaanā

    jis taraf nahīñ koī us taraf pahuñchānā aur

    jis taraf se aa.e the us taraf palaT jaanā

    aa.ine bikhar jaanā pattharoñ se Takrā kar

    aur mauj-e-dariyā se pattharoñ kaT jaanā

    KHamushi se rozana daeron mein baT jaana

    TuTna bikhar jaana aur phir simaT jaana

    mere sare KHwabon ki muKHtasar ye ta'biren

    din mein nind ka aana raat ko uchaT jaana

    KHud se baat karne ko rah rokna apni

    thoDi der chup rah kar muskura ke haT jaana

    kis tarah tawazun ho zindagi ke khate mein

    subh ho to baDh jaana sham ho to ghaT jaana

    jis taraf nahin koi us taraf pahunchana aur

    jis taraf se aae the us taraf palaT jaana

    aaine bikhar jaana pattharon se Takra kar

    aur mauj-e-dariya se pattharon ka kaT jaana

    Source :
    • Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 85)
    • Author :Ameer Imam
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now