KHana-ba-dosh rahne ki aadat nahin gai
ḳhāna-ba-dosh rahne kī aadat nahīñ ga.ī
insāñ ke dil se ḳhvāhish-e-hijrat nahīñ ga.ī
dar dar kī ḳhaak chhān rahe haiñ abhī talak
dil se hayāt-āshnā vahshat nahīñ ga.ī
kuchh pur-ḳhulūs dost mayassar haiñ is liye
āñkhoñ se ḳhush-gumānī kī aadat nahīñ ga.ī
jab tak nafas meñ sabr-o-qanā.at the ḳhema-zan
ghar se hamāre rizq kī barakat nahīñ ga.ī
lamha-ba-lamha TūTte rahne ke bāvajūd
kohsār-e-ḳhush-jamāl kī rif.at nahīñ ga.ī
sad-shukr sun rahā huuñ maiñ ab bhī sadā-e-vaqt
is shor meñ bhī merī samā.at nahīñ ga.ī
murjhā gayā kitāb meñ rakkhā huā ye phuul
lekin hanūz is kī latāfat nahīñ ga.ī
dāmān-e-chashm-e-shauq lahū se hai tar-ba-tar
āñkhoñ se phir bhī ḳhvāb kī chāhat nahīñ ga.ī
pagḌī batā rahī hai ki sar par ġhurūr se
kotāh-qāmatī kī alāmat nahīñ ga.ī
us ko zamīñ bhī chāhiye vo bhī kafan ke saath
mar kar bhī aadmī kī zarūrat nahīñ ga.ī
is baar sail-e-ashk-e-nadāmat ke saath 'rāz'
āñkhoñ se raushnī-e-nadāmat nahīñ ga.ī
KHana-ba-dosh rahne ki aadat nahin gai
insan ke dil se KHwahish-e-hijrat nahin gai
dar dar ki KHak chhan rahe hain abhi talak
dil se hayat-ashna wahshat nahin gai
kuchh pur-KHulus dost mayassar hain is liye
aankhon se KHush-gumani ki aadat nahin gai
jab tak nafas mein sabr-o-qanaat the KHema-zan
ghar se hamare rizq ki barakat nahin gai
lamha-ba-lamha TuTte rahne ke bawajud
kohsar-e-KHush-jamal ki rifat nahin gai
sad-shukr sun raha hun main ab bhi sada-e-waqt
is shor mein bhi meri samaat nahin gai
murjha gaya kitab mein rakkha hua ye phul
lekin hanuz is ki latafat nahin gai
daman-e-chashm-e-shauq lahu se hai tar-ba-tar
aankhon se phir bhi KHwab ki chahat nahin gai
pagDi bata rahi hai ki sar par ghurur se
kotah-qamati ki alamat nahin gai
us ko zamin bhi chahiye wo bhi kafan ke sath
mar kar bhi aadmi ki zarurat nahin gai
is bar sail-e-ashk-e-nadamat ke sath 'raaz'
aankhon se raushni-e-nadamat nahin gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.