KHana-e-dil ka jo tawaif hai
ḳhāna-e-dil kā jo tavā.if hai
qasd-e-bait-ul-haram se ḳhā.if hai
aa.ina husn ke sahīfe kā
lauh-parvāz hai sahā.if hai
gul-ruḳhoñ meñ latīfa-go haiñ hazār
par vo guldasta-e-zarā.if hai
zikr terā ba-rabb-e-ka.aba sanam
ham ko aurād hai vazā.if hai
kyā kahūñ maiñ zarāfateñ us kī
be-suḳhan ma.adin-e-zarā.if hai
nashsha-e-hosh se ye kaifiyyat
ālam-e-kaif pur-kavā.if hai
ai 'muhib' kījiye dil us kī nazar
yahī tohfa yahī tahā.if hai
KHana-e-dil ka jo tawaif hai
qasd-e-bait-ul-haram se KHaif hai
aaina husn ke sahife ka
lauh-parwaz hai sahaif hai
gul-ruKHon mein latifa-go hain hazar
par wo guldasta-e-zaraif hai
zikr tera ba-rabb-e-kaba sanam
hum ko aurad hai wazaif hai
kya kahun main zarafaten us ki
be-suKHan madin-e-zaraif hai
nashsha-e-hosh se ye kaifiyyat
aalam-e-kaif pur-kawaif hai
ai 'muhib' kijiye dil us ki nazar
yahi tohfa yahi tahaif hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.