KHanqah mein sufi munh chhupae baiTha hai
ḳhānqāh meñ suufī muñh chhupā.e baiThā hai
ġhāliban zamāne se maat khaa.e baiThā hai
qatl to nahīñ badlā qatl kī adā badlī
tiir kī jagah qātil saaz uThā.e baiThā hai
un ke chāhne vaale dhuup dhuup phirte haiñ
ġhair un ke kūche meñ saa.e saa.e baiThā hai
vaa.e āshiq-e-nādāñ kā.enāt ye terī
ik shikasta shīshe ko dil banā.e baiThā hai
duur bārish ai gulchīñ vā hai dīda-e-nargis
aaj har gul-e-nargis ḳhaar khaa.e baiThā hai
KHanqah mein sufi munh chhupae baiTha hai
ghaaliban zamane se mat khae baiTha hai
qatl to nahin badla qatl ki ada badli
tir ki jagah qatil saz uThae baiTha hai
un ke chahne wale dhup dhup phirte hain
ghair un ke kuche mein sae sae baiTha hai
wae aashiq-e-nadan kaenat ye teri
ek shikasta shishe ko dil banae baiTha hai
dur barish ai gulchin wa hai dida-e-nargis
aaj har gul-e-nargis KHar khae baiTha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.