Khaar dushman jo bichhae to koi baat nahin
ḳhaar dushman jo bichhā.e to koī baat nahīñ
rāh-e-pur-ḳhār bhī aa.e to koī baat nahīñ
ho sakā jitnā tujhe dil meñ sañbhāle rakkhā
aaj dāman tū bachā.e to koī baat nahīñ
tujh se ummīd-e-vafā ham ne sanam rakkhī hai
tū sitam aur bhī Dhaa.e to koī baat nahīñ
tū ne baḳhshī thiiñ mirī ziist ko ḳhushiyāñ phir bhī
ab agar mujh ko rulā.e to koī baat nahīñ
dard to yuuñ bhī ġham-e-dil ko maza detā hai
tū agar dard baḌhā.e to koī baat nahīñ
mahfil-e-yār meñ mujh ko na milī koī ḳhushī
ab agar zulm bhī Dhaa.e to koī baat nahīñ
jis kī har baat pe thā mujh ko bharosa 'ātish'
vo mujhe chhoḌ ke jaa.e to koī baat nahīñ
KHar dushman jo bichhae to koi baat nahin
rah-e-pur-KHar bhi aae to koi baat nahin
ho saka jitna tujhe dil mein sanbhaale rakkha
aaj daman tu bachae to koi baat nahin
tujh se ummid-e-wafa hum ne sanam rakkhi hai
tu sitam aur bhi Dhae to koi baat nahin
tu ne baKHshi thin meri zist ko KHushiyan phir bhi
ab agar mujh ko rulae to koi baat nahin
dard to yun bhi gham-e-dil ko maza deta hai
tu agar dard baDhae to koi baat nahin
mahfil-e-yar mein mujh ko na mili koi KHushi
ab agar zulm bhi Dhae to koi baat nahin
jis ki har baat pe tha mujh ko bharosa 'atish'
wo mujhe chhoD ke jae to koi baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.