Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Khaar hi Khaar hain gulab nahin

Neeraj Naveed

Khaar hi Khaar hain gulab nahin

Neeraj Naveed

MORE BYNeeraj Naveed

    ḳhaar ḳhaar haiñ gulāb nahīñ

    us ke tohfe bhī javāb nahīñ

    chāñd ho tum maiñ ik charāġh sahī

    par maiñ sūraj se faizyāb nahīñ

    niiñd TūTegī jaan jāoge

    maiñ haqīqat huuñ koī ḳhvāb nahīñ

    sab ko auqāt ke sivā baḳhshā

    rahmatoñ tirī hisāb nahīñ

    jo bhī māñgā milā hameñ lekin

    ik vahī hai jo dastyāb nahīñ

    husn saj kar bahut nikhartā hai

    sādgī magar javāb nahīñ

    'ishq qaid se nikalne ko

    koī tarkīb kāmyāb nahīñ

    aisī taqdīr bhī na ho 'nīraj'

    shām-e-hijrāñ hai aur sharāb nahīñ

    KHar hi KHar hain gulab nahin

    us ke tohfe ka bhi jawab nahin

    chand ho tum main ek charagh sahi

    par main suraj se faizyab nahin

    nind TuTegi jaan jaoge

    main haqiqat hun koi KHwab nahin

    sab ko auqat ke siwa baKHsha

    rahmaton ka teri hisab nahin

    jo bhi manga mila hamein lekin

    ek wahi hai jo dastyab nahin

    husn saj kar bahut nikharta hai

    sadgi ka magar jawab nahin

    'ishq ki qaid se nikalne ko

    koi tarkib kaamyab nahin

    aisi taqdir bhi na ho 'niraj'

    sham-e-hijran hai aur sharab nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now