Khaar ko phul kaho dasht ko gulzar kaho
ḳhaar ko phuul kaho dasht ko gulzār kaho
aur is jabr ko āzādī-e-afkār kaho
jin ke hāthoñ meñ alam aur na kamar meñ shamshīr
vo bhī kahte haiñ hameñ qāfila-sālār kaho
maiñ to ik shoḳh ke dāman se karūñgā ta.abīr
tum use shauq se but-ḳhāne kī dīvār kaho
zulf bahke to use bād-e-bahārāñ samjho
chāñd nikle to use sho.ala-e-ruḳhsār kaho
kaj-kulāhoñ ke liye sañg-e-malāmat bhī haiñ phuul
sar pe aa.eñ to inheñ zīnat-e-dastār kaho
mere sheroñ meñ dhaḌaktā hai dil-e-mustaqbil
mujh ko chāho to na.e daur kā fankār kaho
maiñ ne Dhaa.e haiñ rivāyāt ke bosīda mahal
tum mujhe shauq se 'ġhālib' kā taraf-dār kaho
KHar ko phul kaho dasht ko gulzar kaho
aur is jabr ko aazadi-e-afkar kaho
jin ke hathon mein alam aur na kamar mein shamshir
wo bhi kahte hain hamein qafila-salar kaho
main to ek shoKH ke daman se karunga tabir
tum use shauq se but-KHane ki diwar kaho
zulf bahke to use baad-e-bahaaran samjho
chand nikle to use shoala-e-ruKHsar kaho
kaj-kulahon ke liye sang-e-malamat bhi hain phul
sar pe aaen to inhen zinat-e-dastar kaho
mere sheron mein dhaDakta hai dil-e-mustaqbil
mujh ko chaho to nae daur ka fankar kaho
main ne Dhae hain riwayat ke bosida mahal
tum mujhe shauq se 'ghaalib' ka taraf-dar kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.