Khaar-o-gul ka faisla hone ko hai
ḳhār-o-gul kā faisla hone ko hai
nazm-e-gulshan ab nayā hone ko hai
zaḳhm phir bharne ko aa.e haiñ nadīm
koī taaza hādsa hone ko hai
ḳhair-maqdam kī mire tayyāriyāñ
ab haram bhī mai-kada hone ko hai
ḳhairiyat guzre barūz-e-ehtisāb
un kā merā sāmnā hone ko hai
āshiyāñ se duur TūTīñ bijliyāñ
ab 'nishā' be-āsrā hone ko hai
KHar-o-gul ka faisla hone ko hai
nazm-e-gulshan ab naya hone ko hai
zaKHm phir bharne ko aae hain nadim
koi taza hadsa hone ko hai
KHair-maqdam ki mere tayyariyan
ab haram bhi mai-kada hone ko hai
KHairiyat guzre baruz-e-ehtisab
un ka mera samna hone ko hai
aashiyan se dur TuTin bijliyan
ab 'nisha' be-asra hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.