Khaar to phir bhi Khaar hote hain
ḳhaar to phir bhī ḳhaar hote haiñ
gul bhī be-e'tibār hote haiñ
ġham se jo ham-kanār hote haiñ
bas vahī ġham-gusār hote haiñ
jin ke pīchhe na koī matlab ho
rishte vo ḳhush-gavār hote haiñ
dhokā khāte haiñ bas vahī aksar
jo bahut hoshiyār hote haiñ
hāsidoñ ke karam hī kaafī thī
dost kyoñ barq-bār hote haiñ
jin kī ghuTTī hī meñ ho be-sharmī
vo kahīñ sharmsār hote haiñ
aise phūloñ kā kyā kareñ 'nāmī'
jin ke pahlū meñ ḳhaar hote haiñ
KHar to phir bhi KHar hote hain
gul bhi be-e'tibar hote hain
gham se jo ham-kanar hote hain
bas wahi gham-gusar hote hain
jin ke pichhe na koi matlab ho
rishte wo KHush-gawar hote hain
dhoka khate hain bas wahi aksar
jo bahut hoshiyar hote hain
hasidon ke karam hi kafi thi
dost kyon barq-bar hote hain
jin ki ghuTTi hi mein ho be-sharmi
wo kahin sharmsar hote hain
aise phulon ka kya karen 'nami'
jin ke pahlu mein KHar hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.