Khaar unki mezbani kar rahe the
ḳhaar un kī mezbānī kar rahe the
jo guloñ ko zā’frānī kar rahe the
vo hamārā vird bantā jā rahā thā
yaad us ko muñh-zabānī kar rahe the
kar bhī kyā sakte the ham phirte junūñ meñ
bas chunar ko terī dhānī kar rahe the
kitnā mushkil ho gayā thā paas aanā
aap kitnī ānā-kānī kar rahe the
kaaT kar parbat ko rastā karne vaale
'ishq apnā dāstānī kar rahe the
qaid meñ sayyād kī bhūke parinde
daana daana paanī paanī kar rahe the
titliyoñ ke pīchhe pīchhe phirte 'ishrat'
rā.egāñ apnī javānī kar rahe the
KHar un ki mezbani kar rahe the
jo gulon ko za’frani kar rahe the
wo hamara wird banta ja raha tha
yaad us ko munh-zabani kar rahe the
kar bhi kya sakte the hum phirte junun mein
bas chunar ko teri dhani kar rahe the
kitna mushkil ho gaya tha pas aana
aap kitni aana-kani kar rahe the
kaT kar parbat ko rasta karne wale
'ishq apna dastani kar rahe the
qaid mein sayyaad ki bhuke parinde
dana dana pani pani kar rahe the
titliyon ke pichhe pichhe phirte 'ishrat'
raegan apni jawani kar rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.