KHabar bekas ki ranj-o-sadma-o-alam lete hain
ḳhabar bekas kī ranj-o-sadma-o-ālām lete haiñ
musībat meñ yahī ahbāb dāman thaam lete haiñ
shahīdān-e-jafā kī maut par mātam kā kyā mauqa
ye zindān-e-balā se chhuT ke ab ārām lete haiñ
ġhazab kā rūh-afzā diid ke qābil hai vo manzar
tire hāthoñ se saaqī jis ghaḌī ham jaam lete haiñ
abas saudā nahīñ sar meñ hamāre zulf-e-jānāñ kā
dil-e-vahshī kī ḳhātir mol ham ye daam lete haiñ
nigāh-e-shauq se matlab bayāñ kar dete haiñ apnā
ham in āñkhoñ hī se apne laboñ kā kaam lete haiñ
vafā tere qatīloñ kī hai qātil daad ke qābil
ajal hī kā ḳhudā ke sāmne bas naam lete haiñ
ḳhudā jaane ki ab karte haiñ hangāme bapā kyā kyā
kisī ke haath se jaam aaj dard-āshām lete haiñ
ġhalat hai ye ki un kā dil mubarrā hai ta.assur se
vo sun kar merā afsāna kaleja thaam lete haiñ
mirā maqtūl honā tāziyāna hai raqīboñ ko
koī ulfat jatātā hai to merā naam lete haiñ
ye hai zauq-e-giraftārī ki chhuT kar qaid se 'bedil'
dil-o-jāñ bech kar sayyād se ham daam lete haiñ
KHabar bekas ki ranj-o-sadma-o-alam lete hain
musibat mein yahi ahbab daman tham lete hain
shahidan-e-jafa ki maut par matam ka kya mauqa
ye zindan-e-bala se chhuT ke ab aaram lete hain
ghazab ka ruh-afza did ke qabil hai wo manzar
tere hathon se saqi jis ghaDi hum jam lete hain
abas sauda nahin sar mein hamare zulf-e-jaanan ka
dil-e-wahshi ki KHatir mol hum ye dam lete hain
nigah-e-shauq se matlab bayan kar dete hain apna
hum in aankhon hi se apne labon ka kaam lete hain
wafa tere qatilon ki hai qatil dad ke qabil
ajal hi ka KHuda ke samne bas nam lete hain
KHuda jaane ki ab karte hain hangame bapa kya kya
kisi ke hath se jam aaj dard-asham lete hain
ghalat hai ye ki un ka dil mubarra hai tassur se
wo sun kar mera afsana kaleja tham lete hain
mera maqtul hona taziyana hai raqibon ko
koi ulfat jatata hai to mera nam lete hain
ye hai zauq-e-giraftari ki chhuT kar qaid se 'bedil'
dil-o-jaan bech kar sayyaad se hum dam lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.