KHabar bhi ab teri hum ko nasib hoti nahin
ḳhabar bhī ab tirī ham ko nasīb hotī nahīñ
vo be-nasīb lakīreñ jabīñ kī khotī nahīñ
tire badan kī lachak Dastī rahtī hai shab-bhar
mujhe to sone nahīñ detī ḳhud bhī sotī nahīñ
tirā bhī haath hai is meñ vagarna sirf havā
yuuñ kashtī merī kināre hī par Dubotī nahīñ
tumhārī yādeñ mirī pakkī dost ho ga.ī haiñ
basī bhī dil meñ haiñ nashtar bhī ab chubhotī nahīñ
KHabar bhi ab teri hum ko nasib hoti nahin
wo be-nasib lakiren jabin ki khoti nahin
tere badan ki lachak Dasti rahti hai shab-bhar
mujhe to sone nahin deti KHud bhi soti nahin
tera bhi hath hai is mein wagarna sirf hawa
yun kashti meri kinare hi par Duboti nahin
tumhaari yaaden meri pakki dost ho gai hain
basi bhi dil mein hain nashtar bhi ab chubhoti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.