Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHabar bhi hai mohabbat ke parastaron pe kya guzri

Lateef Nazi

KHabar bhi hai mohabbat ke parastaron pe kya guzri

Lateef Nazi

MORE BYLateef Nazi

    ḳhabar bhī hai mohabbat ke parastāroñ pe kyā guzrī

    koī hai pochhne vaalā ki bīmāroñ pe kyā guzrī

    ayādat se vo jab palTeñ to un se pūchh le koī

    vo kah deñge ba-ḳhūbī dil ke bīmāroñ pe kyā guzrī

    dil-e-yūsuf se kyā pūchhe zuleḳhā se zarā koī

    ḳharīdāroñ pe kyā guzrī hai bāzāroñ pe kyā guzrī

    samajh meñ nahīñ aatā ki hai ye rāz-e-ulfat kyā

    bache kyūñkar ḳhalīlullāh añgāroñ pe kyā guzrī

    na pūchho jalva-farmā jab hue vo nāz-o-shoḳhī se

    huā kyā haal dīvānoñ hushyāroñ pe kyā guzrī

    tum uTh kar kyā ga.e mahfil se ik mahshar huā barpā

    tumheñ ma.alūm kyā hai parastāroñ pe kyā guzrī

    huā shāgird jab maiñ hazrat-e-'mahvī' ai 'nāzī'

    tujhe kuchh ilm hai sun kar ḳhabar yāroñ pe kyā guzrī

    KHabar bhi hai mohabbat ke parastaron pe kya guzri

    koi hai pochhne wala ki bimaron pe kya guzri

    ayaadat se wo jab palTen to un se puchh le koi

    wo kah denge ba-KHubi dil ke bimaron pe kya guzri

    dil-e-yusuf se kya puchhe zuleKHa se zara koi

    KHaridaron pe kya guzri hai bazaron pe kya guzri

    samajh hi mein nahin aata ki hai ye raaz-e-ulfat kya

    bache kyunkar KHalilullah angaron pe kya guzri

    na puchho jalwa-farma jab hue wo naz-o-shoKHi se

    hua kya haal diwanon ka hushyaron pe kya guzri

    tum uTh kar kya gae mahfil se ek mahshar hua barpa

    tumhein malum hi kya hai parastaron pe kya guzri

    hua shagird jab main hazrat-e-'mahwi' ka ai 'nazi'

    tujhe kuchh ilm hai sun kar KHabar yaron pe kya guzri

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now