KHabar karo unhen yahi to faisle ka waqt hai
ḳhabar karo unheñ yahī to faisle kā vaqt hai
jo fasl bo ga.e the us ko kāTne kā vaqt hai
maiñ chaḌh rahā huuñ dūsrī taraf se koh-e-tūr par
ḳhudā ko aaj sāmne se dekhne kā vaqt hai
koī kalī chaTaḳh ke mere kaan meñ ye kah ga.ī
bahār utar rahī hai gaañv lauTne kā vaqt hai
jo gahre pāniyoñ kī or baḌh rahe haiñ māhī-gīr
unheñ kaho ye kashtiyoñ ko rokne kā vaqt hai
udhar koī bulā rahā hai qatl-gāh kī taraf
idhar saf-e-'azā hai rone pīTne kā vaqt hai
muqāble pe aurteñ haiñ bachche haiñ za'īf haiñ
laḌā.ī meñ sipāhiyoñ ke sochne kā vaqt hai
KHabar karo unhen yahi to faisle ka waqt hai
jo fasl bo gae the us ko kaTne ka waqt hai
main chaDh raha hun dusri taraf se koh-e-tur par
KHuda ko aaj samne se dekhne ka waqt hai
koi kali chaTaKH ke mere kan mein ye kah gai
bahaar utar rahi hai ganw lauTne ka waqt hai
jo gahre paniyon ki or baDh rahe hain mahi-gir
unhen kaho ye kashtiyon ko rokne ka waqt hai
udhar koi bula raha hai qatl-gah ki taraf
idhar saf-e-'aza hai rone piTne ka waqt hai
muqable pe aurten hain bachche hain za'if hain
laDai mein sipahiyon ke sochne ka waqt hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.