KHabar kuchh nahin mujhko mera anjam kya hoga
KHabar kuchh nahin mujhko mera anjam kya hoga
Abdul Mannan Samadi
MORE BYAbdul Mannan Samadi
ḳhabar kuchh nahīñ mujh ko mirā anjām kyā hogā
vahī hogā jo hāthoñ kī lakīroñ meñ likhā hogā
tamāshā jo dikhānā thā vahī sab ko dikhā aa.e
nahīñ is se ġharaz koī kisī ne kyā kahā hogā
ik aisā vaqt bhī aa.egā is daur-e-ta'alluq meñ
hamāre aur us ke darmiyāñ ik fāsla hogā
abhī se dhuup kī shiddat se ḳhā.if haiñ jahāñ vaale
savā-neze pe jis din aa gayā sūraj to kyā hogā
suno ab harf-gīrī kā nahīñ hai fā.eda kuchh bhī
ki jo tum ne kahā hogā vahī ham ne sunā hogā
KHabar kuchh nahin mujh ko mera anjam kya hoga
wahi hoga jo hathon ki lakiron mein likha hoga
tamasha jo dikhana tha wahi sab ko dikha aae
nahin is se gharaz koi kisi ne kya kaha hoga
ek aisa waqt bhi aaega is daur-e-ta'alluq mein
hamare aur us ke darmiyan ek fasla hoga
abhi se dhup ki shiddat se KHaif hain jahan wale
sawa-neze pe jis din aa gaya suraj to kya hoga
suno ab harf-giri ka nahin hai faeda kuchh bhi
ki jo tum ne kaha hoga wahi hum ne suna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.