KHabar nahin hai abhi ghar jalane walon ko
ḳhabar nahīñ hai abhī ghar jalāne vāloñ ko
na.e makān mile haiñ purāne vāloñ ko
safar meñ raah ke jangal kā koī ḳhauf nahīñ
gharoñ kī fikr lagī hai kamāne vāloñ ko
ham un ke ishq meñ haiñ aur unheñ ḳhabar bhī nahīñ
ḳhabar ye hai ki ḳhabar hai zamāne vāloñ ko
bahāo ashk ki phir se lahū bahāne kā
bahāna mil hī gayā hai bahāne vāloñ ko
KHabar nahin hai abhi ghar jalane walon ko
nae makan mile hain purane walon ko
safar mein rah ke jangal ka koi KHauf nahin
gharon ki fikr lagi hai kamane walon ko
hum un ke ishq mein hain aur unhen KHabar bhi nahin
KHabar ye hai ki KHabar hai zamane walon ko
bahao ashk ki phir se lahu bahane ka
bahana mil hi gaya hai bahane walon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.