KHabar nahin ki abhi aur kya hai qismat mein
ḳhabar nahīñ ki abhī aur kyā hai qismat meñ
sañbhal gayā huuñ jo gir ke rah-e-mohabbat meñ
shikāyat-e-sitam-e-nāravā ke baa'd na pūchh
unheñ bhī dekh liyā ālam-e-nadāmat meñ
umiid tujh se bhī TuuTī to kyā huā ai dost
mirī to yuuñ hī guzartī hai yās-o-hasrat meñ
chubhā jo paañv meñ kāñTā to sair bhuul gayā
baḌe tapāk se aaya thā bāġh-e-ulfat meñ
yahīñ pe ḳhatm nahīñ silsila jafāoñ kā
abhī to aur sitam sahne haiñ mohabbat meñ
laboñ pe aah ḳhalish dil meñ aañkh meñ aañsū
kis ehtimām se jiinā paḌā mohabbat meñ
ab ehtiyāt se is gul kī baat kar 'nāzim'
ga.e vo din ki zamāna thā ḳhvāb-e-ġhaflat meñ
KHabar nahin ki abhi aur kya hai qismat mein
sanbhal gaya hun jo gir ke rah-e-mohabbat mein
shikayat-e-sitam-e-narawa ke ba'd na puchh
unhen bhi dekh liya aalam-e-nadamat mein
umid tujh se bhi TuTi to kya hua ai dost
meri to yun hi guzarti hai yas-o-hasrat mein
chubha jo panw mein kanTa to sair bhul gaya
baDe tapak se aaya tha bagh-e-ulfat mein
yahin pe KHatm nahin silsila jafaon ka
abhi to aur sitam sahne hain mohabbat mein
labon pe aah KHalish dil mein aankh mein aansu
kis ehtimam se jina paDa mohabbat mein
ab ehtiyat se is gul ki baat kar 'nazim'
gae wo din ki zamana tha KHwab-e-ghaflat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.