KHabar nahin ki zamin hain ki aasman hain hum
ḳhabar nahīñ ki zamīñ haiñ ki āsmāñ haiñ ham
ḳhabar nahīñ ki bhañvar haiñ ki bādbāñ haiñ ham
na zād-e-rāh na himmat na manzil-e-maqsūd
na jaane kaunsī manzil ke kārvāñ haiñ ham
chaman meñ rah ke bhī rang-e-chaman se haiñ mahrūm
bahār haiñ ki ḳhizāñ haiñ ki gulsitāñ haiñ ham
pilā sharāb uThā sāz-e-dil ke taar hilā
abhī shabāb ke din haiñ abhī javāñ haiñ ham
kashākash-e-ġham-e-hastī se gar mile fursat
jahāñ ko ham bhī dikhā deñge bā-zabāñ haiñ ham
jahāñ ko apnī nazar se girā diyā ham ne
ḳhud apne haal meñ poshīda ik jahāñ haiñ ham
hameñ na hasrat-e-duniyā na hasrat-e-uqbā
ḳhud apne paañv ke miTte hue nishāñ haiñ ham
KHabar nahin ki zamin hain ki aasman hain hum
KHabar nahin ki bhanwar hain ki baadban hain hum
na zad-e-rah na himmat na manzil-e-maqsud
na jaane kaunsi manzil ke karwan hain hum
chaman mein rah ke bhi rang-e-chaman se hain mahrum
bahaar hain ki KHizan hain ki gulsitan hain hum
pila sharab uTha saz-e-dil ke tar hila
abhi shabab ke din hain abhi jawan hain hum
kashakash-e-gham-e-hasti se gar mile fursat
jahan ko hum bhi dikha denge ba-zaban hain hum
jahan ko apni nazar se gira diya hum ne
KHud apne haal mein poshida ek jahan hain hum
hamein na hasrat-e-duniya na hasrat-e-uqba
KHud apne panw ke miTte hue nishan hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.