KHabar nahin wo ziya-bar karne aaya tha
ḳhabar nahīñ vo ziyā-bār karne aayā thā
ki aur rāste dushvār karne aayā thā
vo sab ko haq kā taraf-dār karne aayā thā
ki apnā hāshiya-bardār karne aayā thā
mujhe chaḌhā diyā un sab ne mil ke suulī par
maiñ jin ko niiñd se bedār karne aayā thā
sulag rahī hai jo bastī koī sabab hogā
fazā ko koī to bīmār karne aayā thā
supurdagī meñ aqīdat nahīñ thī hushyārī
vo ik vasīle ko hathiyār karne aayā thā
ye kyā ki ḳhud ise tārāj karne vaalā huuñ
maiñ jis zamīn ko gulzār karne aayā thā
KHabar nahin wo ziya-bar karne aaya tha
ki aur raste dushwar karne aaya tha
wo sab ko haq ka taraf-dar karne aaya tha
ki apna hashiya-bardar karne aaya tha
mujhe chaDha diya un sab ne mil ke suli par
main jin ko nind se bedar karne aaya tha
sulag rahi hai jo basti koi sabab hoga
faza ko koi to bimar karne aaya tha
supurdagi mein aqidat nahin thi hushyari
wo ek wasile ko hathiyar karne aaya tha
ye kya ki KHud ise taraj karne wala hun
main jis zamin ko gulzar karne aaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.