KHabar sunte to hain us sang-dil ke dil mein aane ki
ḳhabar sunte to haiñ us sang-dil ke dil meñ aane kī
ḳhudā ma.alūm kyā sūrat bane ā.īna-ḳhāne kī
na jaane ḳhaak ho jaane kī lazzat kab mayassar ho
abhī to ek muddat se hai ḳhidmat ḳhaak uḌāne kī
zamīn-o-āsmāñ kuchh hoñ to ho pastī bulandī bhī
yahāñ to roz kaifiyyat badaltī hai zamāne kī
sahārā ishq-e-zor-āvar ne ḳhud hī de diyā varna
kahāñ ham aur kahāñ tāqat ye koh-e-ġham uThāne kī
fanā-āhang shāyad sāz-e-hastī se barāmad ho
ki aatī hai sadā tār-e-nafas se jhanjhanāne kī
KHabar sunte to hain us sang-dil ke dil mein aane ki
KHuda malum kya surat bane aaina-KHane ki
na jaane KHak ho jaane ki lazzat kab mayassar ho
abhi to ek muddat se hai KHidmat KHak uDane ki
zamin-o-asman kuchh hon to ho pasti bulandi bhi
yahan to roz kaifiyyat badalti hai zamane ki
sahaara ishq-e-zor-awar ne KHud hi de diya warna
kahan hum aur kahan taqat ye koh-e-gham uThane ki
fana-ahang shayad saz-e-hasti se baramad ho
ki aati hai sada tar-e-nafas se jhanjhanane ki
- Book : غبار حیرانی (Pg. 27)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.