KHabar ye kahan thi ki yun haar hogi
ḳhabar ye kahāñ thī ki yuuñ haar hogī
ki dast-e-hinā.ī meñ talvār hogī
guzar jā.eñge vo to āsāñ samajh kar
hamāre liye raah dushvār hogī
jise tum samajhte ho anmol kal tak
mohabbat kī vo jins-e-bekār hogī
sunā hai ki aa.egā vo paas mere
magar darmiyāñ ek dīvār hogī
milan ke liye tum taḌapte ho jin ke
kabhī un kī furqat bhī darkār hogī
kināre pe aa kar sukūñ mil gayā ab
bahut fikr thī naav kab paar hogī
vo gaThrī havas kī liye jā rahā hai
musāfir pe jangal meñ yalġhār hogī
bahut ḳhushk hai ye zamīn-e-mohabbat
jo barseñgī āñkheñ to gulzār hogī
KHabar ye kahan thi ki yun haar hogi
ki dast-e-hinai mein talwar hogi
guzar jaenge wo to aasan samajh kar
hamare liye rah dushwar hogi
jise tum samajhte ho anmol kal tak
mohabbat ki wo jins-e-bekar hogi
suna hai ki aaega wo pas mere
magar darmiyan ek diwar hogi
milan ke liye tum taDapte ho jin ke
kabhi un ki furqat bhi darkar hogi
kinare pe aa kar sukun mil gaya ab
bahut fikr thi naw kab par hogi
wo gaThri hawas ki liye ja raha hai
musafir pe jangal mein yalghaar hogi
bahut KHushk hai ye zamin-e-mohabbat
jo barsengi aankhen to gulzar hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.