khaDe hain der se ahbab dekhne ke liye
khaḌe haiñ der se ahbāb dekhne ke liye
mirā safīna tah-e-āb dekhne ke liye
khulī jo aañkh to ham Dūbte nazar aa.e
ga.e the duur se girdāb dekhne ke liye
abas pareshāñ haiñ ta.abīr kī tag-o-dau meñ
milī hai niiñd hameñ ḳhvāb dekhne ke liye
taras rahī hai mire dasht kī fazā kab se
kisī daraḳht ko shādāb dekhne ke liye
uḌaan bharne lage haiñ tuyūr-o-tayyāre
qarīb-o-dūr se sailāb dekhne ke liye
sunā hai maiñ ne havā.eñ bhī be-qarār haiñ ab
mire diye ko zafar-yāb dekhne ke liye
nazar jhukā.e khaḌī haiñ aqīdateñ 'ālam'
shikast-e-gumbad-o-mehrāb dekhne ke liye
khaDe hain der se ahbab dekhne ke liye
mera safina tah-e-ab dekhne ke liye
khuli jo aankh to hum Dubte nazar aae
gae the dur se girdab dekhne ke liye
abas pareshan hain tabir ki tag-o-dau mein
mili hai nind hamein KHwab dekhne ke liye
taras rahi hai mere dasht ki faza kab se
kisi daraKHt ko shadab dekhne ke liye
uDan bharne lage hain tuyur-o-tayyare
qarib-o-dur se sailab dekhne ke liye
suna hai main ne hawaen bhi be-qarar hain ab
mere diye ko zafar-yab dekhne ke liye
nazar jhukae khaDi hain aqidaten 'alam'
shikast-e-gumbad-o-mehrab dekhne ke liye
- Book : Khayalabad (Pg. 37)
- Author : Alam khursheed
- Publication : Alam khursheed (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.