khaDe hain samne ahbab ajgaron ki tarah
khaḌe haiñ sāmne ahbāb ajgaroñ kī tarah
bulā rahā hai bayābāñ khule daroñ kī tarah
subuk-ḳhirām tanāzur muqaddaroñ kī tarah
farāz-e-vaqt pe kyā hai kaTe saroñ kī tarah
vo shaḳhs itnā hī pyāsā bhī hogā andar se
hilore le to rahā hai samundaroñ kī tarah
ḳhalā meñ Duub na jā.ūñ kahīñ mahak ban kar
mujhe sameT lo āñkhoñ meñ manzaroñ kī tarah
shikast-e-ḳhvāb kī āvāz-e-bāzgasht huuñ maiñ
mujhe sañbhal ke baratnā muhāvaroñ kī tarah
na jaane kaun hai ḳhāliq in ābgīnoñ kā
ḳhayāl zehn meñ aate haiñ paikaroñ kī tarah
ab aur hī koī duniyā mujhe 'atā farmā
bisāt-e-dasht bhī mahdūd hai gharoñ kī tarah
amaañ milegī mujhe bahr-o-bar meñ jaane kahāñ
girā huuñ TuuT ke uḌte hue paroñ kī tarah
jhiñjhoḌ mat mujhe aise meñ karb-e-nīm-shabī
navā-e-'mīr' bhī chubhtī hai nashtaroñ kī tarah
kamāl-e-‘asr hai be-chehragī magar 'hairat'
suḳhanvaroñ se to miliye suḳhanvaroñ kī tarah
khaDe hain samne ahbab ajgaron ki tarah
bula raha hai bayaban khule daron ki tarah
subuk-KHiram tanazur muqaddaron ki tarah
faraaz-e-waqt pe kya hai kaTe saron ki tarah
wo shaKHs itna hi pyasa bhi hoga andar se
hilore le to raha hai samundaron ki tarah
KHala mein Dub na jaun kahin mahak ban kar
mujhe sameT lo aankhon mein manzaron ki tarah
shikast-e-KHwab ki aawaz-e-bazgasht hun main
mujhe sanbhal ke baratna muhawaron ki tarah
na jaane kaun hai KHaliq in aabginon ka
KHayal zehn mein aate hain paikaron ki tarah
ab aur hi koi duniya mujhe 'ata farma
bisat-e-dasht bhi mahdud hai gharon ki tarah
aman milegi mujhe bahr-o-bar mein jaane kahan
gira hun TuT ke uDte hue paron ki tarah
jhinjhoD mat mujhe aise mein karb-e-nim-shabi
nawa-e-'mir' bhi chubhti hai nashtaron ki tarah
kamal-e-‘asr hai be-chehragi magar 'hairat'
suKHanwaron se to miliye suKHanwaron ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.