KHadsha tha jis ke hone ka aaKHir hai ho gaya
ḳhadsha thā jis ke hone kā āḳhir hai ho gayā
banda ḳhudā kī khoj meñ kāfir hai ho gayā
ḳhilqat meñ apnī chhup ke hai ḳhilqat hī se chhupā
qudrat ke parde meñ nihāñ qādir hai ho gayā
jalva bayāñ ho us kā to kis kī zabāñ se ho
behosh haiñ vo jin pe vo zāhir hai ho gayā
mandir meñ barhaman ne hai kholī huī dukān
masjid kā pesh-imām bhī tājir hai ho gayā
sab jā.edād baañT ke beToñ ke darmiyāñ
apne hī ghar meñ baap muhājir hai ho gayā
sūd-o-ziyāñ kī fikr hai karne lagā 'sadā'
shāyad fazā se ve bhī muta.assir hai ho gayā
KHadsha tha jis ke hone ka aaKHir hai ho gaya
banda KHuda ki khoj mein kafir hai ho gaya
KHilqat mein apni chhup ke hai KHilqat hi se chhupa
qudrat ke parde mein nihan qadir hai ho gaya
jalwa bayan ho us ka to kis ki zaban se ho
behosh hain wo jin pe wo zahir hai ho gaya
mandir mein barhaman ne hai kholi hui dukan
masjid ka pesh-imam bhi tajir hai ho gaya
sab jaedad banT ke beTon ke darmiyan
apne hi ghar mein bap muhajir hai ho gaya
sud-o-ziyan ki fikr hai karne laga 'sada'
shayad faza se we bhi mutassir hai ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.