KHafa sayyaad-o-gulchin aur muKhaalif baghban humse
KHafa sayyaad-o-gulchin aur muKhaalif baghban humse
Mohammad Mirza Wasif Rudaulvi
MORE BYMohammad Mirza Wasif Rudaulvi
ḳhafā sayyād-o-gulchīñ aur muḳhālif bāġhbāñ ham se
chhuTegā ik na ik din ye chaman ye āshiyāñ ham se
chhuḌāyā kis tarah se bāġhbāñ ne āshiyāñ ham se
ilāhī koī sun letā hamārī dāstāñ ham se
bayāñ kyā ḳhaak ho sayyād hāl-e-gulsitāñ ham se
rahā ābād hī kai din hamārā āshiyāñ ham se
kaleja apnā apnā thaam leñ ahbāb mahfil meñ
agar sunñe ko baiThe haiñ hamārī dāstāñ ham se
ḳhamoshī meñ kahī jis tarah lauh-e-qabr ne 'vāsif'
bayāñ us lutf se hotī na apnī dāstāñ ham se
unheñ kyā 'ilm thā afsāna-e-dard-o-alam hogā
bahut pachhtā.e vo sun kar hamārī dāstāñ ham se
rahī mohr-e-dahan fikr-e-ma'īshat 'umr bhar 'vāsif'
vagarna kam nikalte dahr meñ jādū-bayāñ ham se
KHafa sayyaad-o-gulchin aur muKHalif baghban hum se
chhuTega ek na ek din ye chaman ye aashiyan hum se
chhuDaya kis tarah se baghban ne aashiyan hum se
ilahi koi sun leta hamari dastan hum se
bayan kya KHak ho sayyaad haal-e-gulsitan hum se
raha aabaad hi kai din hamara aashiyan hum se
kaleja apna apna tham len ahbab mahfil mein
agar sunne ko baiThe hain hamari dastan hum se
KHamoshi mein kahi jis tarah lauh-e-qabr ne 'wasif'
bayan us lutf se hoti na apni dastan hum se
unhen kya 'ilm tha afsana-e-dard-o-alam hoga
bahut pachhtae wo sun kar hamari dastan hum se
rahi mohr-e-dahan fikr-e-ma'ishat 'umr bhar 'wasif'
wagarna kam nikalte dahr mein jadu-bayan hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.