KHafa se lag rahe ho kuchh hua kya
ḳhafā se lag rahe ho kuchh huā kyā
tumheñ bhī hai kisī se kuchh gila kyā
jhukī nazreñ ab uThtī hī nahīñ haiñ
koī unvān dil meñ hai chhupā kyā
nigāh-e-ḳhishmagīñ lab pe tabassum
niyāz-o-nāz kā hai silsila kyā
nigāhoñ kā ye shā.ista takallum
ḳhamoshī ko milī tarz-e-adā kyā
usī kā zikr hai sab kī zabāñ par
vo aisā ho gayā hai dilrubā kyā
ba-juz terī talab ke is jahāñ meñ
hamārī aarzū kyā mudda.ā kyā
jidhar dekho vahī jalva-numā hai
yahī shāyad hai irfān-e-ḳhudā kyā
umañDte hī chale aate haiñ aañsū
kisī ne pursish-e-ġham kar diyā kyā
dam-e-ruḳhsat hai aao paas baiTho
duā.eñ do hameñ tum ab davā kyā
'tarab' sāhab kahāñ bazm-e-suḳhan meñ
ġhazal kahnā tumheñ bhī aa gayā kyā
KHafa se lag rahe ho kuchh hua kya
tumhein bhi hai kisi se kuchh gila kya
jhuki nazren ab uThti hi nahin hain
koi unwan dil mein hai chhupa kya
nigah-e-KHishmagin lab pe tabassum
niyaz-o-naz ka hai silsila kya
nigahon ka ye shaista takallum
KHamoshi ko mili tarz-e-ada kya
usi ka zikr hai sab ki zaban par
wo aisa ho gaya hai dilruba kya
ba-juz teri talab ke is jahan mein
hamari aarzu kya muddaa kya
jidhar dekho wahi jalwa-numa hai
yahi shayad hai irfan-e-KHuda kya
umanDte hi chale aate hain aansu
kisi ne pursish-e-gham kar diya kya
dam-e-ruKHsat hai aao pas baiTho
duaen do hamein tum ab dawa kya
'tarab' sahab kahan bazm-e-suKHan mein
ghazal kahna tumhein bhi aa gaya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.