KHafi lafzon se likkhi dard ki tahrir hoti hai
ḳhafī lafzoñ se likkhī dard kī tahrīr hotī hai
ye aurat har tarah se mard kī jāgīr hotī hai
vo jis kī aañkh meñ mahrūmiyāñ bastī haiñ sadiyoñ se
vo ḳhud kitne hī rishtoñ kī magar zanjīr hotī hai
jakaḌ rakkhā hai jis ke dil ko an-dekhe azāboñ ne
vo har ik ḳhvāb kī kaisī hasīñ ta.abīr hotī hai
junūn-e-ishq kī sarhad pe jaañ se jo guzar jaa.e
vahī sassī vahī sohnī vahī to hiir hotī hai
nikal kar ḳhuld se bhī to zamīñ koī nahīñ us kī
zamīñ-zādī kī bhī dekho ajab taqdīr hotī hai
na ho jab chāñd āñchal meñ na sūraj dil kī bastī kā
tan-e-murda sañbhāle vo baḌī dil-gīr hotī hai
jo din bhar jang laḌtī hai masā.ib aur masā.il se
'shafaq' phir shaam ko hai rang sī tasvīr hotī hai
KHafi lafzon se likkhi dard ki tahrir hoti hai
ye aurat har tarah se mard ki jagir hoti hai
wo jis ki aankh mein mahrumiyan basti hain sadiyon se
wo KHud kitne hi rishton ki magar zanjir hoti hai
jakaD rakkha hai jis ke dil ko an-dekhe azabon ne
wo har ek KHwab ki kaisi hasin tabir hoti hai
junun-e-ishq ki sarhad pe jaan se jo guzar jae
wahi sassi wahi sohni wahi to hir hoti hai
nikal kar KHuld se bhi to zamin koi nahin us ki
zamin-zadi ki bhi dekho ajab taqdir hoti hai
na ho jab chand aanchal mein na suraj dil ki basti ka
tan-e-murda sanbhaale wo baDi dil-gir hoti hai
jo din bhar jang laDti hai masaib aur masail se
'shafaq' phir sham ko hai rang si taswir hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.