KHair-andesh bane haq ki mazammat na kare
KHair-andesh bane haq ki mazammat na kare
Syed Abdus Sattar Mufti
MORE BYSyed Abdus Sattar Mufti
ḳhair-andesh bane haq kī mazammat na kare
ḳhuun apnā hai to apnoñ se baġhāvat na kare
resham-o-atlas-o-kam-ḳhvāb meñ palne vaalā
ham faqīroñ se ulajhne kī himāqat na kare
bevafā.ī kā agar husn kī khul jaa.e bharam
koī bhūle se bhī iqrār-e-mohabbat na kare
aise aa.iin ko Thukrā ke chalā jā.ūñgā
be-navāoñ kī jo pur-zor himāyat na kare
pas isī shakl meñ donoñ kī guzar saktī hai
maiñ bhī shikva na karūñ tū bhī shikāyat na kare
mujh ko tanhā.ī ke zindāñ meñ muqayyad kar do
jab talak aap kā ehsās malāmat na kare
nāḳhudā soch zarā Duub ke gahrā.ī meñ
buġhz kī lahr uThe aur sharārat na kare
rishta-e-mehr-o-vafā aur bhī mazbūt karo
taaki insāñ kisī insān se nafrat na kare
yuuñ na khelo mire jazbāt se tum shām-o-sahar
maiñ huuñ dīvāna mujhe koī nasīhat na kare
sabz gumbad kī ghanī chhāñv jo ho jaa.e nasīb
'muftī'-e-shahr kabhī ḳhvāhish-e-jannat na kare
KHair-andesh bane haq ki mazammat na kare
KHun apna hai to apnon se baghawat na kare
resham-o-atlas-o-kam-KHwab mein palne wala
hum faqiron se ulajhne ki himaqat na kare
bewafai ka agar husn ki khul jae bharam
koi bhule se bhi iqrar-e-mohabbat na kare
aise aain ko Thukra ke chala jaunga
be-nawaon ki jo pur-zor himayat na kare
pas isi shakl mein donon ki guzar sakti hai
main bhi shikwa na karun tu bhi shikayat na kare
mujh ko tanhai ke zindan mein muqayyad kar do
jab talak aap ka ehsas malamat na kare
naKHuda soch zara Dub ke gahrai mein
bughz ki lahr uThe aur shararat na kare
rishta-e-mehr-o-wafa aur bhi mazbut karo
taki insan kisi insan se nafrat na kare
yun na khelo mere jazbaat se tum sham-o-sahar
main hun diwana mujhe koi nasihat na kare
sabz gumbad ki ghani chhanw jo ho jae nasib
'mufti'-e-shahr kabhi KHwahish-e-jannat na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.