KHair guzri teri nazar na hui
ḳhair guzrī tirī nazar na huī
merī duniyā tah-o-zabar na huī
raah takte tamām 'umr kaTī
shām-e-ġham kī abhī sahar na huī
mujh ko taḌpā ke ḳhud taḌapte ho
bekalī merī be-asar na huī
hañste hañste hī pī liye maiñ ne
aañkh ashk-e-alam se tar na huī
kaise sāmān-e-‘aish jam' kiye
maut sar par thī ye ḳhabar na huī
laakh chāhā ki zarb-e-ġham se bachūñ
koī tadbīr kārgar na huī
mausam-e-gul to bārhā aayā
shāḳh-e-dil merī bārvar na huī
ḳhauf thā qabr kā qayāmat kā
dil ko taskīn 'umr-bhar na huī
lag ga.ī 'umr-e-ḳhizr kyā us ko
kyoñ shab-e-hijr muḳhtasar na huī
vo maze kyā haiñ jo idhar na uḌe
vo ḳhalish kyā hai jo udhar na huī
is qarīne se de diyā tū ne
lene vaale ko kuchh ḳhabar na huī
hai ḳhatā dil ko Thes pahuñchānī
ye ḳhatā mujh se bhuul kar na huī
maiñ ne dekhe ‘uyūb auroñ ke
hāl-e-ḳhud par mirī nazar na huī
āzmā.ish qadam qadam par thī
'ishq kī raah be-ḳhatar na huī
ḳhuub the she'r to satā.ish kī
mujh se nā-qadarī-e-hunar na huī
kyā ga.e saath āftāb gayā
vo na aa.e abhī sahar na huī
jis tarah kāTnī thī ai 'bartar'
us tarah zindagī basar na huī
KHair guzri teri nazar na hui
meri duniya tah-o-zabar na hui
rah takte tamam 'umr kaTi
sham-e-gham ki abhi sahar na hui
mujh ko taDpa ke KHud taDapte ho
bekali meri be-asar na hui
hanste hanste hi pi liye main ne
aankh ashk-e-alam se tar na hui
kaise saman-e-‘aish jam' kiye
maut sar par thi ye KHabar na hui
lakh chaha ki zarb-e-gham se bachun
koi tadbir kargar na hui
mausam-e-gul to barha aaya
shaKH-e-dil meri barwar na hui
KHauf tha qabr ka qayamat ka
dil ko taskin 'umr-bhar na hui
lag gai 'umr-e-KHizr kya us ko
kyon shab-e-hijr muKHtasar na hui
wo maze kya hain jo idhar na uDe
wo KHalish kya hai jo udhar na hui
is qarine se de diya tu ne
lene wale ko kuchh KHabar na hui
hai KHata dil ko Thes pahunchani
ye KHata mujh se bhul kar na hui
main ne dekhe ‘uyub auron ke
haal-e-KHud par meri nazar na hui
aazmaish qadam qadam par thi
'ishq ki rah be-KHatar na hui
KHub the she'r to sataish ki
mujh se na-qadari-e-hunar na hui
kya gae sath aaftab gaya
wo na aae abhi sahar na hui
jis tarah kaTni thi ai 'bartar'
us tarah zindagi basar na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.